Monday, April 20, 2009

Aarzoo to badey hi, dil mey liye baitha tha...

Aarzoo to badey hi, dil mey liye baitha tha,
Zindagi aap ke saath bitaane ki tamanna liye baitha tha,
Jeewan ki is raah mey, aap ke saath ki guzarish thi.
Jab yea pata bhi tha ki, hum, aapko quabool hi na the.

Naa jane kyon har lamha yaad karta tha tumhey,
Aap ke saath betaayi hui har pal nazar aati thi humey,
laakh koshish ki, phir bhi bhula na paaya tumhe,
Jab yea pata bhi tha ki, hum, aapko quabool hi na the.

Shaq to koi nahi ki jigar me bhara, pyaar hi tha,
Kisi ne kaaha, dil mey bhara pyaar chahare par dikh jaata hai,
Nazar naa aaye to, kaat ke bhi dikha dete hum.
Par kya kare aap ney, sar uthake humey dekha tak nahi.

Pata tha ki, aap ko, hum quabool hi na the,
Phir bhi aap se milne ki tamanna badi dil mey thi,
Chahat thi bas milke baat karne ki,
Kuch lamhe aap ke saath bitaane ki.

Naa jaane phir kab mulaaquat hogi,
Hogi bhi to, waqt bahut aage nikal chuki hogi.
Tab naa mujhme kuch kahne ki himmat hogi
Aur na tumhe kuch sunaney ki ijaazat.

Zindagi ka ye khel dekho, aapko bhulaane hi nahi deta,
Jab bhi hum koshish kare, ek umid ka kissa dikha deta,
Khuda se poocha to bas usne chuppi pesh ki.
woh kya karega bechara jab aap ki marzi hi na thi.

Afsos nahi ki aap ko humse pyaar na tha,
Is mulaaquaat ko ittefaaq samajh lete hum.
Aap ki yaado mey zindagi bita detey hum.
Hasrat to is baat ka hai.. Ki aap ne in lafzo ko kahne ka mouka hi na diya.